is dasht se aage bhi koi dasht-e-guman hai
lekin ye yaqin kaun dilaega kahan hai
ye ruh kisi aur ilaqe ki makin hai
ye jism kisi aur jazire ka makan hai
karta hai wahi kaam jo karna nahin hota
jo baat main kahta hun ye dil sunta kahan hai
kashti ke musafir pe yunhi tari nahin KHauf
Thahra hua pani kisi KHatre ka nishan hai
jo kuchh bhi yahan hai tere hone se hai warna
manzar mein jo khilta hai wo manzar mein kahan hai
is rakh se uThti hui KHushbu ne bataya
marte hue logon ki kahan ja-e-aman hai
ye kar-e-suKHan kar-e-abas to nahin 'ami'
ye qafiya-paimai nahin husn-e-bayan hai
Ghazal
Is dasht se aage bhi koi dasht-e-guman hai
Imran Aami