اردو हिंदी
Is dasht nawardi mein jina bahut aasan tha | Shaahi Shayari
is dasht nawardi mein jina bahut aasan tha

Ghazal

Is dasht nawardi mein jina bahut aasan tha

Atiiqullah

;

is dasht nawardi mein jina bahut aasan tha
hum chaak gareban the sar par koi daman tha

hum se bhi bahut pahle aaya tha yahan koi
jab hum ne qadam rakkha ye KHak-dan viran tha

uDte hue phirte the aawara ghubaron se
wo waqt tha jab us ke lauT aane ka imkan tha

ye rah-e-talab yaro gumrah bhi karti hai
saman usi ka tha jo be-sar-o-saman tha