is dasht ki wusat mein simaT kar nahin dekha
ek umr chale aur palaT kar nahin dekha
hum ahl-e-nazar ho ke bhi kab ahl-e-nazar the
haalat ko KHud se kabhi haT kar nahin dekha
ahbab ki banhon ka nasha aur hai lekin
tu ne kabhi dushman se lipaT kar nahin dekha
ek dard ke dhage mein piroe hain azal se
is rishta-e-mauhum se kaT kar nahin dekha
ya raat ke daman mein sitare hi bahut the
ya hum ne charaghon ko ulaT kar nahin dekha
kaise nazar aate meri aankhon ke jazire
is bahr-e-talab ne kabhi ghaT kar nahin dekha
shahzad'-qamar dekh raha hai wahi duniya
KHanon mein jahan zist ne baT kar nahin dekha
Ghazal
Is dasht ki wusat mein simaT kar nahin dekha
Shahzad Qamar