is dasht-e-halakat se guzar kaun karega
be-amn KHarabon mein safar kaun karega
KHurshid jo Dubenge ubharne hi se pahle
is tirgi-e-shab ki sahar kaun karega
chhin jaen sar-e-rah jahan chadaren sar ki
us zulm ki nagri mein basar kaun karega
jis daur mein ho be-hunari wajh-e-siyaadat
us daur mein tashhir-e-hunar kaun karega
uD jaenge jangal ki taraf sare parinde
minara-e-larzan pe basar kaun karega
is KHauf-e-musalsal mein guzar hogi to kyunkar
suli pe har ek raat basar kaun karega
muzhda mujhe jine ka bhala kis ne diya tha
mujh ko mere marne ki KHabar kaun karega
Ghazal
Is dasht-e-halakat se guzar kaun karega
Partav Rohila