is darja meri zat se us ko hasad hua
jo bhi sawal main ne kiya mustarad hua
us ne hi di saza mujhe sahra ki dhup mein
mere badan ki chhanw se jo na-balad hua
aisi chali hawa ki har ek shaKH jal gai
wo peD jo hara tha ghamon ki sanad hua
sochen hain KHwab-KHwab to tahrir aab-ab
hum kya kahen ki kaun yahan nek-o-bad hua
us ki hi aarzu mein ye chehre udas hain
wo aaina ki jis ka taqaza ashad hua
jis ne sadaqaton ko lahu se kiya raqam
us shaKHs ka har ek suKHan mustanad hua
mera sitara us ke sitare se yun mila
mera aur us ka nam 'hasan' ham-adad hua
Ghazal
Is darja meri zat se usko hasad hua
Hasan Rizvi