is Dar se ishaara na kiya honT na khole
dekhe ki na dekhe koi bole ki na bole
patthar ki tarah tum ne mera sog manaya
daman na kabhi chaak kiya baal na khole
main ne sar-e-girdab kai bar pukara
sahil se magar log baDi der se bole
main aalam-e-tanhai mein nikla hun safar par
phir gardish-e-ayyam kahin sath na ho le
hum kohna riwayat ke mujrim hain ki hum ne
insan kabhi sone ki taraazu mein na tole
phir 'ram' yahan chup ko bahut der lagegi
ji khol ke hans le abhi ji khol ke ro le

Ghazal
Is Dar se ishaara na kiya honT na khole
Ram Riyaz