is dar pe mujhe yar machalne nahin dete
arman mere ji ke nikalne nahin dete
dam dam mein KHabar pahunche hai jo aane ki apni
hai jaan labon par wo nikalne nahin dete
aashob-e-qayamat se zi-bas KHauf hai sab ko
do chaar qadam bhi unhen chalne nahin dete
jata hai safa-e-ruKH-e-dildar pe jab dil
maqdur tak apne to phisalne nahin dete
aadat mein karo farq na tum apni nigah se
kyun zahr use aaj ugalne nahin dete
wo parda-nashini ki riayat hai tumhaari
hum baat bhi KHalwat se nikalne nahin dete
ye dast-basar rahne ka 'arif' wo mahal hai
us ja kaf-e-afsos bhi malne nahin dete
Ghazal
Is dar pe mujhe yar machalne nahin dete
Zain-ul-Abideen Khan Arif