اردو हिंदी
Is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai | Shaahi Shayari
is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

Ghazal

Is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai

Raaz Yazdani

;

is dar ki si rahat bhi do aalam mein kahin hai
jina bhi yahin hai mujhe marna bhi yahin hai

ab waqif-e-mafhum-e-wafa qalb-e-hazin hai
ab aap ki bedad bhi bedad nahin hai

tum aur meri KHana-KHarabi pe tabassum
ummid se baDh kar abhi qadr-e-dil-o-din hai

ya tere siwa husn hi duniya mein nahin tha
ya dekh raha hun ki jo manzar hai hasin hai

ye zist hai ya maut samajh mein nahin aata
ab dard hai aur dard ki taklif nahin hai