is chaman ka ajib mali hai
jis ne har shaKH kaT Dali hai
din ujala ganwa ke baiTh gaya
raat ne raushni chura li hai
gham ki ismat bachchi hui thi magar
waqt ne wo bhi raund Dali hai
moajiza ho jo bach nikal jae
panch shahbaz ek lali hai
ye tera adl kya hua yarab
koi adna hai koi aali hai
aankh mein chubh gae kai manzar
ab kahan nind aane wali hai
pahle waqton mein ho to ho shayad
dosti ab hasin gali hai
KHema-e-zabt ki tanaben khinch
kuchh ghaTa si barasne wali hai
chalte rahna kaThin hua 'hasrat'
panw zaKHmi hain raat kali hai
Ghazal
Is chaman ka ajib mali hai
Ajeet Singh Hasrat