is but-kade mein tu jo hasin-tar laga mujhe
apne hi ek KHayal ka paikar laga mujhe
jab tak rahi jigar mein lahu ki zara si bund
muTThi mein apni band samundar laga mujhe
murjha gaya jo dil mein ujale ka surKH phul
taron bhara ye khet bhi banjar laga mujhe
ab ye bata ki ruh ke shoale ka kya hai rang
marmar ka ye libas to sundar laga mujhe
kya jaaniye ki itni udasi thi raat kyun
mahtab apni qabr ka patthar laga mujhe
aankhon ko band kar ke baDi raushni mili
maddham tha jo bhi naqsh ujagar laga mujhe
ye kya ki dil ke dip ki lau hi tarash li
suraj agar hai kirnon ki jhaalar laga mujhe
sadiyon mein tai hua tha bayaban ka rasta
gulshan ko lauTte hue pal bhar laga mujhe
main ne use sharik-e-safar kar liya 'shakeb'
apni tarah se chand jo be-ghar laga mujhe
Ghazal
Is but-kade mein tu jo hasin-tar laga mujhe
Shakeb Jalali