is bhare shahr mein aaram main kaise paun
jagte chiKHte rangon ko kahan le jaun
pairahan chust hawa sust khaDi diwaren
use chahun use rokun ki juda ho jaun
husn bazar ki zinat hai magar hai to sahi
ghar se nikla hun to us chauk se bhi ho aaun
laDkiyan kaun se goshe mein ziyaada hongi
na karun baat magar peD to ginta jaun
kar raha hun jise badnam gali-kuchon mein
aankh bhi us se milate hue main gharaun
wo mujhe pyar se dekhe bhi to phir kya hoga
mujh mein itni bhi sakat kab hai ki dhoka khaun
husn KHud ek bhikari hai mujhe kya dega
kis tawaqqoa pe main daman-e-nazar phailaun
waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai
kyun na KHamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun
ek muddat se kai sae meri tak mein hain
kab talak raat ki diwar se sar Takraun
aadmiyat hai ki hai gumbad-e-be-dar koi
DhunDne niklun to apna bhi na rasta paun
liye phirta hun KHayalon ka dahakta dozaKH
sar se ye bojh utarun to KHuda ho jaun
Ghazal
Is bhare shahr mein aaram main kaise paun
Shahzad Ahmad