is bazm mein pate nahin dil-soz kisi ko
yan shama hamari hai na parwana hamara
kis ke ruKH-e-raushan ka tasawwur hai ye dil mein
hai manzil-e-KHurshid siyah-KHana hamara
naseh ki nasihat se hai zid aur bhi dil ko
sunta nahin hoshyar ki diwana hamara
dil le chuke phir bose ki takrar hai bheja
do jins hi ya pher do baiana hamara
hum zulf-e-pareshan ki tarah se hain pareshan
ab dam ki kashakash hai faqat shana hamara
sau aarzu-e-murda ko rakkha hai jo dil mein
takiya hai maqabir ka ye virana hamara

Ghazal
Is bazm mein pate nahin dil-soz kisi ko
Shuoor Balgirami