is baras fasl-e-bahaaran ki tarah wapas aa
to meri jaan hai jaanan ki tarah wapas aa
muntazir kab se hai taron ka samundar tera
sham se shahr-e-nigaran ki tarah wapas aa
is tarah aa ki andheron mein ujala jage
ek shab sham-e-farozan ki tarah wapas aa
phul ban jaengi suraj ki dahakti kirnen
dasht mein rang-e-gulistan ki tarah wapas aa
is se pahle ki gurezan hon ye KHushbu lamhe
tu mere ahd-e-gurezan ki tarah wapas aa
aa ki hum DhunDh len ashkon mein hansi ke lamhe
tu bhi is gardish-e-dauran ki tarah wapas aa
tujh pe lazim hai wafaon ka bharam rakh lena
bhule-bisre kisi paiman ki tarah wapas aa
kaun sunta hai wahan teri sadaen 'mina'
apne ghar shahr-e-KHamoshan ki tarah wapas aa
Ghazal
Is baras fasl-e-bahaaran ki tarah wapas aa
Meena Naqvi