is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen
aawaz ka KHazina shayad tahon mein paen
galiyon mein saD rahi hain bite dinon ki lashen
kamre mein gunjti hain be-nam si sadaen
mazi ki ye imarat mehman hai koi dam ki
diwar-o-dar shikasta aur tez-tar hawaen
lete hi hath mein kyun aKHbar phaD Dala
kaisi KHabar chhapi thi hum kis ko kya bataen
shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho
suraj ki raushni mein sae kahan chhupaen
Ghazal
Is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen
Bashir Saifi