is bar un se mil ke juda hum jo ho gae
un ki saheliyon ke bhi aanchal bhigo gae
chaurahon ka to husn baDha shahr ke magar
jo log namwar the wo patthar ke ho gae
sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum
diwar par bane hue manzar mein kho gae
mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae
kis kis se aur jaane mohabbat jatate hum
achchha hua ki baal ye chandi ke ho gae
itni lahuluhan to pahle faza na thi
shayad hamari aankhon mein ab zaKHm ho gae
iKHlas ka muzahira karne jo aae the
'azhar' tamam zehn mein kanTe chubho gae
Ghazal
Is bar un se mil ke juda hum jo ho gae
Azhar Inayati