is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi
aankhen hain hamari nam kuchh aur tarah se bhi
shoala bhi nahin uThta kajal bhi nahin banta
jalta hai kisi ka gham kuchh aur tarah se bhi
har shaKH sulagti hai har phul dahakta hai
girti hai kabhi shabnam kuchh aur tarah se bhi
manzil ne diye tane raste bhi hanse lekin
chalte rahe aksar hum kuchh aur tarah se bhi
daman kahin phaila to mahsus hua yaro
qad hota hai apna kam kuchh aur tarah se bhi
us ne hi nahin dekha ye baat alag warna
is bar saje the hum kuchh aur tarah se bhi
Ghazal
Is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi
Hastimal Hasti