is bar hua kun ka asar aur tarah ka
is bar hai imkan-e-bashar aur tarah ka
is bar madine hi mein dar aaya tha kufa
is bar kiya hum ne safar aur tarah ka
is bar na asbab na chadar pe nazar thi
is bar tha luTne ka KHatar aur tarah ka
is bar koi aib koi aib nahin tha
is bar kiya hum ne hunar aur tarah ka
is bar koi KHair ka talib hi nahin tha
is bar tha andesha-e-shar aur tarah ka
is bar chali baad-e-sumum aur tarah ki
is bar khila hai gul-e-tar aur tarah ka
is bar to jibril-e-maani ko mila izn
is bar jala lafz ka par aur tarah ka
Ghazal
Is bar hua kun ka asar aur tarah ka
Tasneem Abidi