اردو हिंदी
Is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae | Shaahi Shayari
is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae

Ghazal

Is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae

Majrooh Sultanpuri

;

is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae
jab tak kisi samar ko mera dil kaha na jae

shaKHon pe nok-e-tegh se kya kya khile hain phul
andaz-e-lala-kari-e-qatil kaha na jae

kis ke lahu ke rang hain ye KHar shoKH-rang
kya gul katar gai rah-e-manzil kaha na jae

baran ke muntazir hain samundar pe tishna-lab
ahwal-e-mezbani-e-sahil kaha na jae

mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar
mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae

zindan khula hai jab se hue hain riha asir
har gam hai wo shor-e-salasil kaha na jae

hum ahl-e-ishq mein nahin harf-e-gunah se kam
wo harf-e-shauq jo sar-e-mahfil kaha na jae

jis hath mein hai tegh-e-jafa us ka nam lo
'majruh' se to sae ko qatil kaha na jae