is auj par na uchhaalo mujhe hawa kar ke
ki main jahan se hun utra KHuda KHuda kar ke
azal se mujh se hai wabasta KHair-o-shar ka nizam
na dekho mujh ko meri zat se juda kar ke
main jaanta hun muqaffal hain sare darwaze
mujhe ye zid hai ki guzrun magar sada kar ke
main apne daur ke is karb ka hun aaina
jo pesh-rau hue ruKHsat mujhe ata kar ke
shikast-e-zabt pe main bhi bahut KHajil hun magar
khula hai us ka bharam mera samna kar ke
ye faKHr kam nahin farigh hai dil gharib to kya
ki aabru to nahin khoi iltija kar ke
Ghazal
Is auj par na uchhaalo mujhe hawa kar ke
Farigh Bukhari