اردو हिंदी
Is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate | Shaahi Shayari
is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate

Ghazal

Is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate

Shahid Kamal

;

is arsa-e-mahshar se guzar kyun nahin jate
jine ki tamanna hai to mar kyun nahin jate

ai shahr-e-KHarabaat ke aashufta-mizajon
jab TuT chuke ho to bikhar kyun nahin jate

is dard ki shiddat bhi numu-KHez bahut hai
jo zaKHm hain sine mein wo bhar kyun nahin jate

hum moatakif-e-dasht-e-aziyyat to nahin hain
pairon se masafat ke bhanwar kyun nahin jate

jab aae hain maqtal mein to kya lauT ke jaana
ab apne lahu mein hi nikhar kyun nahin jate

jab Dub ke marna hai to kya soch rahe ho
in jhil si aankhon mein utar kyun nahin jate

ye bhi koi zid hai ki ye 'shahid' ki ana hai
jate hain jidhar log udhar kyun nahin jate