اردو हिंदी
Is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua | Shaahi Shayari
is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

Ghazal

Is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua

Mir Taqi Mir

;

is ahd mein ilahi mohabbat ko kya hua
chhoDa wafa ko un ne murawwat ko kya hua

ummid-war-e-wada-e-didar mar chale
aate hi aate yaro qayamat ko kya hua

kab tak tazallum aah bhala marg ke tain
kuchh pesh aaya waqia rahmat ko kya hua

us ke gae par aise gae dil se ham-nashin
malum bhi hua na ki taqat ko kya hua

baKHshish ne mujh ko abr-e-karam ki kiya KHajil
ai chashm josh-e-ashk-e-nadamat ko kya hua

jata hai yar tegh-ba-kaf ghair ki taraf
ai kushta-e-sitam teri ghairat ko kya hua

thi sab-e-ashiqi ki badayat hi 'mir' par
kya jaaniye ki haal-e-nihayat ko kya hua