is ada se wo jafa karte hain
koi jaane ki wafa karte hain
yun wafa ahd-e-wafa karte hain
aap kya kahte hain kya karte hain
hum ko chheDoge to pachhtaoge
hansne walon se hansa karte hain
nama-bar tujh ko saliqa hi nahin
kaam baaton mein bana karte hain
chaliye aashiq ka janaza uTTha
aap baiThe hue kya karte hain
ye batata nahin koi mujh ko
dil jo aata hai to kya karte hain
husn ka haq nahin rahta baqi
har ada mein wo ada karte hain
tir aaKHir badal-e-kafir hai
hum aKHir aaj dua karte hain
rote hain ghair ka rona pahron
ye hansi mujh se hansa karte hain
is liye dil ko laga rakkha hai
is mein mahbub raha karte hain
tum miloge na wahan bhi hum se
hashr se pahle gila karte hain
jhank kar rauzan-e-dar se mujh ko
kya wo shoKHi se haya karte hain
us ne ehsan jata kar ye kaha
aap kis munh se gila karte hain
roz lete hain naya dil dilbar
nahin malum ye kya karte hain
'dagh' tu dekh to kya hota hai
jabr par sabr kiya karte hain
Ghazal
Is ada se wo jafa karte hain
Dagh Dehlvi