is aalam-e-hairat-o-ibrat mein kuchh bhi to sarab nahin hota
koi nind misal nahin banti koi lamha KHwab nahin hota
ek umr numu ki KHwahish mein mausam ke jabr sahe to khula
har KHushbu aam nahin hoti har phul gulab nahin hota
is lamha-e-KHair-o-shar mein kahin ek saat aisi hai jis mein
har baat gunah nahin hoti sab kar-e-sawab nahin hota
mere chaar taraf aawazen aur diwaren phail gain lekin
kab teri yaad nahin aati aur ji be-tab nahin hota
yahan manzar se pas-e-manzar tak hairani hi hairani hai
kabhi asl ka bhed nahin khulta kabhi sachcha KHwab nahin hota
kabhi ishq karo aur phir dekho is aag mein jalte rahne se
kabhi dil par aanch nahin aati kabhi rang KHarab nahin hota
meri baaten jiwan sapnon ki mere sher amanat naslon ki
main shah ke git nahin gata mujh se aadab nahin hota
Ghazal
Is aalam-e-hairat-o-ibrat mein kuchh bhi to sarab nahin hota
Saleem Kausar