irfan-o-agahi ke saza-war hum hue
soya paDa tha shahr ki bedar hum hue
ta umr intizar sahi par ba-roz-e-hashr
achchha hua ki tere talabgar hum hue
hum par wafa-e-ahd anal-haq bhi farz tha
is waste ki mahram-e-asrar hum hue
Thahregi ek din wahi meraj-e-bandagi
jo baat kah ke aaj gunahgar hum hue
hote gae wo KHalq-farebi mein hoshiyar
jitna ki tajribe se samajhdar hum hue
nadan the ki masnad-e-irshad chhoD kar
halqa-ba-gosh-e-sirat-o-kirdar hum hue
is daur-e-KHud-farosh mein 'aKHtar' ba-sad KHulus
KHamyaza-sanj-e-jurat-e-izhaar hum hue
Ghazal
Irfan-o-agahi ke saza-war hum hue
Akhtar Ziai