irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka
parda uTha raha hai koi imtiyaz ka
taron se puchhiye meri aankhon ko dekhiye
duniya ko kya pata shab-e-hijr-e-daraaz ka
jaane se qabl tur pe musa ye dekhte
kya zarf hai hawas tajalli-nawaz ka
sab surKHiyan hain KHun-e-wafa si likhi hui
qissa hai dil-gudaz shahid-e-niyaz ka
sar be-KHudi mein aap ke qadmon pe jhuk gaya
aaya tha kuchh KHayal sa dil mein namaz ka
aankhen jhuka nazar na mila dil pe tir kha
pahla sabaq hai ishq ke raaz-o-niyaz ka
mahfil mein dekhte hain wo taswir ki tarah
markaz hai har nafas nigah-e-imtiyaz ka
dekha phir us ne qalb ki phir harkaten baDhin
zaKHma bani hai phir nigah-e-naz saz ka
zarf aazmae sozish-e-sad-barq-e-tur se
lije na imtihan dil-e-be-niyaz ka
'talib' agar nazar na ho pamal-e-KHwahishat
har lama barq-e-tur hai husn-e-majaz ka
Ghazal
Irfan hai ye ishq ke soz-o-gudaz ka
Talib Baghpati