iqrar kisi din hai to inkar kisi din
ho jaegi ab aap se takrar kisi din
chaha kabhi socha kabhi taswir banai
chhoDa na teri yaad ne bekar kisi din
palkon pe sitare liye rahon mein khaDe hain
fursat ho to aa jaiye sarkar kisi din
duniya mein sada chalti hai chahat ki hukumat
aa jao mana lenge hum itwar kisi din
aaya hai akela tujhe jaana hai akela
bas dekhte rah jaenge sab yar kisi din
daulat ke ye ambar tera sath na denge
gir jaegi nadan ye diwar kisi din
achchhi nahin lagti hamein aadat ye teri 'badr'
har bar kabhi aur to har bar kisi din
Ghazal
Iqrar kisi din hai to inkar kisi din
Badr Wasti