اردو हिंदी
Intizar-e-did mein yun aankh pathrai ki bas | Shaahi Shayari
intizar-e-did mein yun aankh pathrai ki bas

Ghazal

Intizar-e-did mein yun aankh pathrai ki bas

Gawwas Qureshi

;

intizar-e-did mein yun aankh pathrai ki bas
marte marte wo hui aalam mein ruswai ki bas

dekh kar shabnam ki haalat hans paDi nau-ras-kali
do-ghaDi patton pe rah kar itna itrai ki bas

dil ki dhaDkan baDh gai aankhon mein aansu aa gae
ek zara si baat par itni hansi aai ki bas

maut ko bhi marne wale par taras aa hi gaya
is tarah chaDhti jawani mein qaza aai ki bas

baat kaisi ab to honTon par hai aahon ka hujum
choT khane par bhi aisi choT par khai ki bas

tauba karne ko to kar li hazrat-e-'ghawwas' ne
yak-ba-yak gardun pe wo kali ghaTa chhai ki bas