اردو हिंदी
IntiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin | Shaahi Shayari
intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin

Ghazal

IntiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin

Fitrat Ansari

;

intiKHab-e-nigah-e-shauq ko mushkil bhi nahin
koi aaina tera aaj muqabil bhi nahin

kaun se gul ki KHabar baad-e-sahar lai hai
sehn-e-gulshan mein kahin shor-e-anadil bhi nahin

jaane ab kaun si manzil mein mein arbab-e-junun
dur tak dasht mein aawaz-e-salasil bhi nahin

tir aate hain kamin-gah se meri jaanib
meri taqdir mein kya jalwa-e-qatil bhi nahin

tujh se aur chashm-e-tawajjoh ka gila kya mani
tera fitrat tere iKHlas ke qabil bhi nahin