intiha-e-ishq ho yun ishq mein kaamil bano
KHak ho kar bhi nishan-e-sarhad-e-manzil bano
mere shikwon par ye kahna rahm ke qabil bano
muddaa ye hai ki apne haal se ghafil bano
gharq ho kar rol lo moti KHud apne waste
Dub kar ubhro to auron ke liye sahil bano
anjuman kaisi tum apni zat se ho anjuman
gosha-e-KHalwat mein bhi baiTho to ek mahfil bano
husn-e-KHud-bin moajizat-e-ishq ka qail nahin
qatra-ha-e-ashk-e-KHunin jama ho kar dil bano
sath aazadi ke KHud-dari bhi rahna chahiye
bahr-e-be-payan kabhi lab KHushki-e-sahil bano
ilm ka daura lahu ke sath rag rag mein rahe
jauhar-e-qabil agar ho quwwat-e-amil bano
sharm se tum ko simaTna hai to simTo husn se
dil mein ban jao suwaida putliyon mein til bano
rabt-e-baatin kya suno tafsil us ijmal ki
hum sarapa dard hon aur tum sarapa dil bano
jalne walo ta-ba-imkan zabt soz-e-gham karo
aag jab bhaDke charagh-e-sarhad-e-manzil bano
kuchh dinon baiTho sar-e-qabr-e-'aziz'-e-be-nawa
KHanqahon mein bahut dushwar hai kaamil bano
Ghazal
Intiha-e-ishq ho yun ishq mein kaamil bano
Aziz Lakhnavi