اردو हिंदी
Intiha-e-gham mein mujhko muskurana aa gaya | Shaahi Shayari
intiha-e-gham mein mujhko muskurana aa gaya

Ghazal

Intiha-e-gham mein mujhko muskurana aa gaya

Moin Ahsan Jazbi

;

intiha-e-gham mein mujh ko muskurana aa gaya
hae ifaqa-e-mohabbat ka bahana aa gaya

is taraf ek aashiyane ki haqiqat khul gai
us taraf ek shoKH ko bijli girana aa gaya

ro diye wo KHud bhi mere girya-e-paiham pe aaj
ab haqiqat mein mujhe aansu bahana aa gaya

meri KHak-e-dil bhi aaKHir un ke kaam aa hi gai
kuchh nahin to un ko daman hi bachana aa gaya

wo KHarash-e-dil jo ai jazba-e-jazbi meri hamraaz thi
aaj use bhi zaKHm ban kar muskurana aa gaya