'insha'-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
wahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya
is dil ke darida daman ko dekho to sahi socho to sahi
jis jholi mein sau chhed hue us jholi ka phailana kya
shab biti chand bhi Dub chala zanjir paDi darwaze mein
kyun der gae ghar aae ho sajni se karoge bahana kya
phir hijr ki lambi raat miyan sanjog ki to yahi ek ghaDi
jo dil mein hai lab par aane do sharmana kya ghabrana kya
us roz jo un ko dekha hai ab KHwab ka aalam lagta hai
us roz jo un se baat hui wo baat bhi thi afsana kya
us husn ke sachche moti ko hum dekh saken par chhu na saken
jise dekh saken par chhu na saken wo daulat kya wo KHazana kya
us ko bhi jala dukhte hue man ek shoala lal bhabuka ban
yun aansu ban bah jaana kya yun maTi mein mil jaana kya
jab shahr ke log na rasta den kyun ban mein na ja bisram kare
diwanon ki si na baat kare to aur kare diwana kya
Ghazal
Insha-ji uTho ab kuch karo is shahr mein ji ko lagana kya
Ibn e Insha