insan pe kya guzar rahi hai
insaniyat aahen bhar rahi hai
ab kya hai difa-e-zulm ke pas
tariKH sawal kar rahi hai
diwaren to sari hain udhar ki
aur chhanw idhar utar rahi hai
gum apni hawa mein hain machhere
mauj apni jagah biphar rahi hai
aasuda-e-gham hai koi rut ho
wo shaKH jo be-samar rahi hai
apni hi KHabar rahi hai un ko
aur apni bhi kya KHabar rahi hai
KHud kuze banae KHud bikhar jae
ye qismat-e-kuza-gar rahi hai
Ghazal
Insan pe kya guzar rahi hai
Mahshar Badayuni