insan ko apni zat ka idrak hi nahin
ab koi wardat alamnak hi nahin
mazlum ke lahu ka na ho jis pe koi dagh
aisi sipah-e-waqt ki poshak hi nahin
is daur mein hifazat-e-iman ke waste
haidar ki misl tegh-e-ghazabnak hi nahin
aamal hain siyah hamare magar hamein
shikwa hai meharbani-e-aflak hi nahin
rahmat KHuda ki josh mein aae to kaise aae
sailab-e-ashk-dida-e-nam-nak hi nahin
pahle buland karta tha 'anwar' sada-e-haq
lekin ab is mein jurat-e-be-bak hi nahin
Ghazal
Insan ko apni zat ka idrak hi nahin
Anvar Kaifi