insan ke kitne rup hain ru-e-ana se puchh
saz-e-gharaz se maslahat-e-KHushnuma se puchh
tere safar ki rah mein kitne sarab hain
meri nigah se puchh mere naqsh-e-pa se puchh
kitne hain sanp hujra-e-iKHlas mein na gin
maili rida se puchh darida qaba se puchh
ek sirf tere qasr pe bijli giri thi kyun
mat puchh us ke adl se apni KHata se puchh
kya kya mila hai zindagi-e-be-sabaat se
kaliyon se puchh ghuncha-e-rangin-ada se puchh
aasi ki kya shanaKHt hai masum ki hai kya
ye baat bargah-e-saza-o-jaza se puchh
itni kaDi thi dhup tere raste mein kyun
'hadi' ye aaj KHaliq-e-karbobala se puchh
Ghazal
Insan ke kitne rup hain ru-e-ana se puchh
Manohar Lal Hadi