insan hain haiwan yahan bhi hai wahan bhi
allah nigahban yahan bhi hai wahan bhi
KHun-KHwar darindon ke faqat nam alag hain
har shahr bayaban yahan bhi hai wahan bhi
hindu bhi sukun se hai musalman bhi sukun se
insan pareshan yahan bhi hai wahan bhi
rahman ki rahmat ho ki bhagwan ki murat
har khel ka maidan yahan bhi hai wahan bhi
uThta hai dil-o-jaan se dhuan donon taraf hi
ye 'mir' ka diwan yahan bhi hai wahan bhi
Ghazal
Insan hain haiwan yahan bhi hai wahan bhi
Nida Fazli