insan hai to kibr sin kahta hai kyun ana
aadam to hum suna hai ki wo KHak se bana
kaisa mila hai hum sin ki ab lag hai anmana
sun kar hamari baat kun karta hai han na na
mukhDe ki nau-bahaar hui KHat se aashkar
sabza na tha ye husn ka banjar tha par ghana
murda hai be-visal rahe go ki jagta
sota hun yar sath so zindon mein jagna
duni bimari jab sin batate hain fahisha
mal mal ke jis qadar ki ghinante hain ubTana
yun dil hamara ishq ki aatish mein KHush hua
bhun kar tamam aag mein khilta hai jun chana
nahin aab-o-gil sifat tere tan ke KHamir ki
karta hun jaan o dil kun laga us ki main sana
jab 'abru' ka byah hua bakr fikr sin
tab shaeron ne nam rakha us ka but bana
Ghazal
Insan hai to kibr sin kahta hai kyun ana
Abroo Shah Mubarak