insan ba-yak nigah bura bhi bhala bhi hai
yani wo musht-e-KHak to hai kimiya bhi hai
ai gham-nasib kis se hai mumkin tera ilaj
ai bad-nasib tere maraz ki dawa bhi hai
kyun kar kahen ki jis ko KHudai na thi qubul
wo be-niyaz aap ke dar ka gada bhi hai
tere wajud se bhala inkar ho kise
ai tu ki zarre zarre mein jalwa-numa bhi hai
banda-nawaziyon pe na itraiye bahut
banda-nawaz aap se baDh kar KHuda bhi hai
shoala se dur rahiye ki shair sahi magar
ziddi hai bewaquf hai dil ka bura bhi hai
Ghazal
Insan ba-yak nigah bura bhi bhala bhi hai
Davarka Das Shola