insaf ki taraazu mein taula ayan hua
yusuf se tere husn ka palla giran hua
ru-e-zamin pe aisa main bismil tapan hua
uD kar mera lahu shafaq-e-asman hua
us barq-wash ka ishq-e-nihani ayan hua
abr-e-siyah aahon ka mere dhuan hua
piri mein mujh ko ishq-e-hasin-e-jawan hua
bar-e-digar kabaade mein zor-e-kaman hua
ahl-e-zamin se saf kahan aasman hua
kis roz burj-e-mah mein farsh-e-katan hua
madum dagh-e-ishq ka dil se nishan hua
afsos be-charagh hamara makan hua
do TukDe ek war mein KHud-e-hubab hai
girdab-e-mauj tegh ko sang-e-fasan hua
dekha jo main ne us ko samundar ki aankh se
gulzar aag ho gai sumbul dhuan hua
milta nahin dimagh hi gesu-e-yar ka
kuchh in dinon mein mushk ka saudagaran hua
KHush-chashmon ke firaq mein khae ye pech-o-tab
shaKH-e-ghazal apna har ek ustuKHan hua
saKHti-e-rah-e-ishq se waqif hue na panw
josh-e-junun mere liye taKHt-e-rawan hua
amboh-e-ashiqan se hua husn ko ghurur
kasrat se mushtari ki ye saudagran hua
paiwand-e-KHak ho gae ek but ki rah mein
patthar hamari qabr ka sang-e-nishan hua
phenka gaya na pir-e-falak nal ki tarah
koi na tifl-e-ashk hamara jawan hua
tu dekhne gaya lab-e-dariya jo chandni
istada tujh ko dekh ke aab-e-rawan hua
insan ko chahiye ki na ho nagawar-taba
samjhe subuk use jo kisi par giran hua
us gul se arz-e-haal ki hasrat hi rah gai
kanTe paDe zaban mein jo mail-e-bayan hua
allah ke karam se buton ko kiya mutia
zer-e-nagin qalam-raw-e-hindostan hua
insaf main ne aalam-e-asbab mein kiya
banwai chandni jo mayassar katan hua
gardish ne us ki surma kiye apne ustuKHan
chakki hamare pisne ko aasman hua
qatil ki tegh se rah-e-mulk-e-adam mili
aahan hamare waste sang-e-nishan hua
fikr-e-buland ne meri aisa kiya buland
'atish' zamin-e-sher se past aasman hua
Ghazal
Insaf ki taraazu mein taula ayan hua
Haidar Ali Aatish