اردو हिंदी
Insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha | Shaahi Shayari
insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha

Ghazal

Insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha

Karamat Bukhari

;

insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha
samjho ki abhi hath samar tak nahin pahuncha

mizhgan pe ruke hain abhi Dhalke nahin aansu
ye soch ka sailab safar tak nahin pahuncha

kuchh log abhi KHair ki KHwahish ke amin hain
dastar ka jhagDa abhi sar tak nahin pahuncha

parwaz mein tha amn ka masum parinda
sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha

insan to dukh-dard ke sahraon mein gum hai
ye qafila KHushiyon ke Dagar tak nahin pahuncha

muddat se mohabbat ke safar mein hun 'karamat'
lekin abhi chahat ke nagar tak nahin pahuncha