inqilabi soch shair ka qalam apni jagah
aap ki angDaiyan zulfon ka KHam apni jagah
jaanta hun main tumhaare baatini kirdar ko
jubba-o-dastar-e-ali-mohtaram apni jagah
hum rahe apni ana mein kho na badli aap ne
aap bhi apni jagah hain aur hum apni jagah
aap ki har baat ko taslim farmaya gaya
aap ke farman ke sab besh-o-kam apni jagah
us ke aane ki lagan mein ji raha hun is tarah
kan aahaT par lage aTka hai dam apni jagah
su-e-maqtal jab chala 'ashraf' uTha kar zindagi
sar-kashida tha meri aankhon ka nam apni jagah
Ghazal
Inqilabi soch shair ka qalam apni jagah
Ashraf Ali Ashraf