inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo
dosto gardish-e-ayyam ki kuchh baat karo
jam-o-mina to kahin aur se le aaenge
mai-kasho saqi-e-gulfam ki kuchh baat karo
ghair ki subh-e-daraKHshan ka tasawwur kab tak
apni kajlai hui sham ki kuchh baat karo
phir jalana mah-o-KHurshid ki mahfil mein charagh
pahle apne hi dar-o-baam ki kuchh baat karo
kya ye TuTe hue paimane liye baiThe ho
baada-nosho sitam-e-am ki kuchh baat karo
zikr-e-firdaus-o-iram kal pe uTha rakhte hain
aaj to aariz-e-asnam ki kuchh baat karo
main to KHair apni wafaon pe hun nazan lekin
wo jo tum par hai us ilzam ki kuchh baat karo
talKHi-e-kaam-o-dahan se kahin gham dhulte hain
zalimo talKHi-e-ayyam ki kuchh baat karo
itna sannaTa ki ehsas ka dam ghuTta hai
subh ka zikr karo sham ki kuchh baat karo
wahi 'arshad' ki jalata hai jo aandhi mein charagh
han usi shair-e-badnam ki kuchh baat karo
Ghazal
Inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo
Arshad Siddiqui