inkar kise, auj-e-qamar tak nahin pahuncha
insan magar dil ke nagar tak nahin pahuncha
uTTha to har ek jhukti hui shaKH ki jaanib
hath apna kisi shaKH-e-samar tak nahin pahuncha
tufan ki zad par hai agar shahar use kya
wo KHush hai ki pani abhi ghar tak nahin pahuncha
har rah liye jati hai ek band gali tak
rasta koi us shoKH ke dar tak nahin pahuncha
dam bharta raha apni wafaon ka jo 'muKHlis'
wo shaKHs to lene ko KHabar tak nahin pahuncha
Ghazal
Inkar kise, auj-e-qamar tak nahin pahuncha
Mukhlis Wajdani