inkar hum se ghair se iqrar bas ji bas
dekhe tumhaare hum ne ye atwar bas ji bas
itna hun ja-e-rahm jo karta hai wo jafa
to us se ro ke kahte hain aghyar bas ji bas
saqi hamein pilaiye yun jam pai-ba-pai
jo ham-nashin kah uThen yak-bar bas ji bas
hun na-umid wasl se yun jaise waqt-e-naza
ro kar kahe tabib se bimar bas ji bas
ghash hun main waqt-e-bosa jo kahta hai hans ke wo
munh ko haTa haTa ke ba-takrar bas ji bas
us ka jo bas ji bas mujhe yaad aawe hai to aah
pahron talak main kahta hun har bar bas ji bas
kal wo jo bola Tuk to kaha hum ne munh phira
KHair ab na hum se boliye zinhaar bas ji bas
hum dil laga ke tum se hue yan talak ba-tang
jo apne ji se kahte hain lachaar bas ji bas
sun kar kaha ki kya mere lagti hai dil mein aag
shikwa se jab kare hai tu izhaar bas ji bas
aise tamanche marunga munh mein tere 'nazir'
gar tu ne mujh se phir kaha ek bar bas ji bas
Ghazal
Inkar humse ghair se iqrar bas ji bas
Nazeer Akbarabadi