inhi galiyon mein ek aisi gali hai
jo mere nam se tanha rahi hai
ab is se aur bhi shamen jala lo
sawad-e-jaan mein ek mashal jali hai
hamare sar gae sang-e-harifan
mai-o-mina se aafat Tal gai hai
main bahr-e-azmaish bhi jala hun
ki dekhun mujh mein kitni raushni hai
ilahi KHair ho in bastiyon ki
pas-e-diwar ek parchhain si hai
sawad-e-shahr mein koi bala hai
jo wahshat bin ke pichha kar rahi hai
hui phir sham phir din bhar ki shorish
gali-kuchon mein chhap kar so gai hai
kuchh aise so rahe hain shahr wale
ki ek muddat mein nind un ko mili hai
ye ghar sote ke sote hi na rah jaen
hawa-e-hashr-saman chal rahi hai
hui phir subh zaKHmon ke ufuq se
faza phir taza dam ho kar uThi hai
kisi qaidi ko phir KHwabon se uTh kar
kisi zanjir ne aawaz di hai
gharon se chand lamhon ki rifaqat
bichhaD kar shahar ki jaanib chali hai
lahu rista hai dast-e-shisha-gar se
faza aaina-KHana ban gai hai
phir apne daere qausen banae
wahi miTTi wahi kuza-gari hai
tum is se kya bachoge 'shauq'-sahab
ki qismat mein yahi gardish likhi hai
Ghazal
Inhi galiyon mein ek aisi gali hai
Razi Akhtar Shauq