in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe
chulhe jalen ki ghar hi jalen par dhuan rahe
nero ne bansri ki nai tan chheD di
ab rome ka nasib faqat dastan rahe
pani samundaron ka na chhalni se mapiye
aisa na ho ki sara kiya raegan rahe
mujh ko supurd-e-KHak karo is dua ke sath
aangan mein phul khilte rahen aur makan rahe
kaTi hai umr raat ki pahnaiyon ke sath
hum shahr-e-be-charagh mein ai be-kasan rahe
'azar' har ek gam pe kaTa hai sang-e-jabr
hathon mein tesha samne koh-e-giran rahe
Ghazal
In ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe
Ezaz Ahmad Azar