اردو हिंदी
In sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai | Shaahi Shayari
in sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai

Ghazal

In sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai

Nasir Kazmi

;

in sahme hue shahron ki faza kuchh kahti hai
kabhi tum bhi suno ye dharti kya kuchh kahti hai

ye ThiThuri hui lambi raaten kuchh puchhti hain
ye KHamushi aawaz-numa kuchh kahti hai

sab apne gharon mein lambi tan ke sote hain
aur dur kahin koyal ki sada kuchh kahti hai

jab raat ko tare bari bari jagte hain
kai Dube hue taron ki nida kuchh kahti hai

kabhi bhor bhae kabhi sham paDe kabhi raat gae
har aan badalti rut ki hawa kuchh kahti hai

mehman hain hum mehman-sara hai ye nagri
mehmanon ko mehman-sara kuchh kahti hai

bedar raho bedar raho bedar raho
ai ham-safaro aawaz-e-dara kuchh kahti hai

'nasir' aashob-e-zamana se ghafil na raho
kuchh hota hai jab KHalq-e-KHuda kuchh kahti hai