in ne pahle-hi-pahal pi hai sharab aaj ke din
bolo dil khol kar ai chang-o-rubab aaj ke din
ai ajal ja-e-tarahhum hai ki ye aashiq-e-zar
kucha-e-yar mein hai pa-e-turab aaj ke din
yar bad-mast hua sab pe chhiDakta hai sharab
tah kar ai waiz-e-shahr apni kitab aaj ke din
roz-e-nau-roz hai milte hain sabhi aapas mein
koi karta hai kisi par bhi itab aaj ke din
id-e-qurban hai butan kyun nahin sargarm-e-jafa
qatl-e-ushshaq samajhte hain sawab aaj ke din
dur daur-e-lab-e-jaanan hai ajab kya 'joshish'
mai-kade shahr ke howe jo KHarab aaj ke din
Ghazal
In ne pahle-hi-pahal pi hai sharab aaj ke din
Joshish Azimabadi