in ko nafrat ise kya kahte hain
hum ko raghbat ise kya kahte hain
naqd-e-dil le ke hamara na diya
KHud badaulat ise kya kahte hain
roz-e-furqat bhi to hai tul bahut
ai qayamat ise kya kahte hain
har pari-ru pe tujhe aa jaana
ai tabiat ise kya kahte hain
ghair ko bazm mein biThla lena
hum ko ruKHsat ise kya kahte hain
ek to ishq ka sadma mujh ko
us pe furqat ise kya kahte hain
naqd-e-dil ishq mein dete hain 'saKHi'
ai saKHawat ise kya kahte hain
Ghazal
Inko nafrat ise kya kahte hain
Sakhi Lakhnvi