in ki jab nukta-wari yaad aai
apni hi be-KHabari yaad aai
yaad aai bhi to yun ahd-e-wafa
aah ki be-asari yaad aai
aaj kyun un ko ba-aghosh-e-raqib
meri hi ham-asari yaad aai
dil ne phir waqt se laDna chaha
phir wahi dard-bhari yaad aai
apna sina hua raushan to unhen
husn ki kam-nazari yaad aai
jab bhi dhyan aaya kahin manzil ka
rah ki shab-basari yaad aai
kis ko hasil hai dimagh-e-nala
be-sabab be-hunari yaad aai
dekh kar be-dili-e-shauq ka rang
apni aashufta-sari yaad aai
us pe kya guzri jo is aalam mein
phul ko jama-dari yaad aai
bagh ka haal wo dekha hai 'nazar'
shaKH thi jo bhi hari yaad aai

Ghazal
Inki jab nukta-wari yaad aai
Qayyum Nazar