in kali saDkon pa aksar dhyan aaya
mere man ka mail kahan tak phail gaya
dekh raha tha jate jate hasrat se
soch raha hoga main us ko rokunga
us ne chalte chalte lafzon ka zahrab
mere jazbon ki pyali mein Dal diya
us ghar ki diwaren mujh se ruTh gain
jis ke andar ka har saya mera tha
pan ke Thele hotel logon ka jamghaT
apne tanha hone ka ehsas bhi kya
Ghazal
In kali saDkon pa aksar dhyan aaya
Abdur Rahim Nashtar